S.E.O kya hota hai? Full Guide in Hindi

S.E.O kya hota hai?


S.E.O kya hota hai? Ye question har us blogger ke mann me jarur aata hi hai jab vo is word ke baare me sunta hai. Aur khass kar ki tab jab usse is word ko baar baar sunnane me aata hain.

Bloggers aur webmasters or liye ye word kaafi important hota hai. Aur aap bhi un Bloggers ya webmasters me se ek hai Jo is word ke baare me kuch nni janta to is post ko shuru seelekar anth tak jarur padhe.

Ye ek Complete Guide hai Jo aapko S.E.O ka introduction degi dhyaan rakhiye agar koi blogger 100 post se bhi jayada write karta hai to bhi S.E.O completly cocover nni kar payega.

In fact pure blogging ke market me sabse expensive services seo ki hi hoti hain. S.E.O Experts aapko charge karte hain aur aapki blog ko kiss kiss ek keyword par Google rank karake dete hain.

Sabse expensive hone ke sath hi ye sabse mushkil hi hota hain. Kaafi log koshish karte hain is karne ki kuch hi log isse sahi se kkar pate hain aur blog par accha Organic Traffic built kar let hain.

Step-by-Step Mai sabhi terms ko eplain karunga, I know abhi aapko kaafi saare terms to ho sakta hain bilkul Alien Words lag rhe ho.


S.E.O ka Full Form?

S.E.O ka full-form hai Search Engine Optimization. Iske pure naam se hi pta chal rha rha hai ki apni site ko search engine se traffic paane ke liye optimize karna. 

S.E.O kya hota hai?

S.E.O (Search Engine Otimization) matlab ki Search Engine se traffic paane ke liye aur S.E.R.P(Search Engine Ranking Page) apni Blog/Website ko optimize karne ki process ko S.E.O kha jata hain.

Aasaan bhasa  me search engine se Organic Traffic ke liye apni site ko optimize karna hi S.E.O hai.

Organic traffic kya hota hai? To iska jawab hai, Search Engines se free me traffic Jo aapke site par aata hai usse organic traffic kehte hai.

Agar, aap Blogger ya YouTube hain to aapke liye S.E.O to bahut hi important hai aur isse isse halke me mat Lena kyunki agar liye to phir aap kabhi successful blogger ya youtuber nni ban paayenge.

S.E.O ke types:-

S.E.O ke two types hote hai:-
1) On-page S.E.O
2) Off-page S.E.O

Ab ek-ek karke inhe baare me bhi todha batate hai.

1) On-page S.E.O:-

 Ye S.E.O ka hi ek part hai. Hum apne post ko  perfectly optimize karte hain, usme apne top keywords ko first 100 words me istmaal karna, S.E.O friendly URLs, Image Optimization, etc. On page seo ke examples hai.

On page seo me utni kathinaiyon ka saamna nji karna padta jitni ki Off-page seo me karna padta hain.

On page ke techniques hai:-

  1. Image Optimization.
  2. Top keywords ko first 100 word me use karna.
  3. Title me sabse pehle keyword ko write karna.
  4. Keyword ko bold karna.
  5. Main keyword ko h1 heading banana.
  6. Internal Linkings karna.
  7. Long-Length post likhna.
  8. External Linking karna.
  9. Responsive Design.
  10. S.E.O Friendly URLs.
  11. Tiltle ke liye modifiers words ka use karna.
  12. Social Share buttons ka use karna.
  13. Interesting images, videos, infographics, podcasts ka use karna.
Ye, saare techniques On-page S.E.O me kuch bahut hi famous techniques hai jo har blogger ko karna hi chahiye.

Ye yehi par khatm nni hote hain par ha, agar aap itna bhi acche tarike seekar lete ho to aapki site ka On-page S.E.O to lagbhag ho hi chuka hain.

On-page S.E.O ke bad number hai Off-page S.E.O ka.

2) Off-page S.EO:-

Ye S.E.O ka dusra part hai. On page seo hota hai apne content ko optimize karna jisse search engines me Hume better ranking mil sake. Par aapke site ki repution bhi Google ke liye bahut matter karti hai.

Isliye aap on page seo ko chhod ke blog ke SEO ke liye Jo bhi karoge usse Off-page S.E.O kha jayega.

Jaise ki Backlinks built karna, Guest Posting karna, etc off page seo ke bahut prabhavshali parts hai.


Off-page S.E.O techniques:-


  1. Guest Posting.
  2. Build Backlinks.
  3. Submit your site to Social Bookmarking sites.

Off-page S.E.O me kuch utne popular techniques to nni hai hai par ha yehi teen hi akele bahut hai agar aap in teeno ko acche se kar let Hai to samjho aapka Off-page S.E.O ho gya.


To, On-page S.E.O + Off-page S.E.O = Better Rankings.


S.E.O karna kyun jaruri hai?

S.E.O ko karne ki sabse badi wajah Hai apni site ko jald se jald popular karna. Jaisa ki aap sab log jaante hi hoge ki aaj ke time par Google kitna bada search engine ban chuka hai.

Google me per second me 56,000 searches hote hain. Maan lijiye ki in users me 10,000 users me search kiya 'S.E.O in Hindi'  aur aapki site us par top par rank hai to Kam se se kam bhi 6,000 bhi aapki aapki site par hi click karenge isse aapko kitna traffic milega sath hi aapki earning bhi increase ho jayegi aapki sote ki aur aapki popularity bahut badh jayegi.

Agar, aap apni site se bina S.E.O ke $1000/month kamane the hai to S.E.O karne ke bad aap kam se kam $2000 ya $3000/month kamayenge.

Google adSence se approval paane ke bad kaafi bloggers usse eearnings nni kar pate kyun? Vo isliye ki unke adsence account ka CPC bahut kam hota hai.

Organic traffic ke aane se aapke adSence account ka CPC(Cost Per Click) bhi kaafi badh jata hain.

 To, bas aaj ke liye itna hi.

Conclusion:-

Ye article to sirf S.E.O ke introduction ke liy write kiya gya tha.

Kal hum is dono types ke tutorails ke basre me briefly describe karunga.

Agar, ye post accha lga ho to isse share jarur kare aur agar koi bhi question hai to Comment karke jarur puch sakte hain.

Comments

Popular posts from this blog

Blog kya hota hai? Blogger aur Blogging kya hota hai?

Top 3 easiest way to earn money online